सब्सक्राइब कीजिये "THE SONU SINGH" Blog Site को और पाइए अपने TOPIC की सही जानकारी सबसे पहले .
DOSTO, Aap me se bahut sare reader's ke tarah tarah ke sawal rahte hai, or mai koshish karta hu ki sabh ke sawalo ke jawab diye jayen. lekin aaj ka jo sawal hai wo bahut comman hai or wo ye hai ki " how to use cell phone for health" matlab hum apni health ko fit rakhne ke hisab se mobile ka use kaise kare ? kya mobile or cell phone ka use hamari life me bahut important ho gya hai ? agar mobile ka use hamare liye jaruri bhi ho gya hai to kya itna ki hum pura din iska sath chhodna nahi chahte.
Juada janane ke liye padhte rahiye aaj ka hamara hamara yah article aaj hum isi ke bare me baat karne wale hai ki, mobile ya cell phone kya hota hai or yah kis base par kaam karta hai. hume mobile ka use kitna , kab, kahan or kaise karna cahahiye. kya iske benifit hai or kya is-se hone wale losses.
NAMASKAR, Dosto mera naam hai sonu singh chhuriya , or swagat hai apka "THE SONU SINGH" Blog Site me. jahan aaj aap padh rahe hai "How To Use Cell Phone For Health" Blog Post.
Dosto aaj ki hamari life bahut hi busy life hai or isi busy life ko or bhi busy banane ka kaam hamara yah cell phone bade hi smart tarike se karta hai. agar aap kabhi bhi free hone wale hote hai to aap free hone se pahle hi apne mobile ke sath lag jaate hai jahan apka relax time mobile waste kar deta hai.
mobile ka use karna koi galat baat nahi hai magar limit se jayada ya har time mobile me hi lage rahna bahut hi galat baat hai. agar aap bhi isi tarah apna day complete karte hai to bahut hi jaldi is-se hone wale loss ka samna karna padh sakta hai.
SABSE PAHLE SAWAL AATA HAI KI ....
WHAT IS CELL PHONE / मोबाइल क्या होता है ?
Cell phone ya mobile ek aisi digital technology ka hissa hai jo hame smart hone ka ehsaas karata hai.
yah radio active Wave's ke aadhar par work karta hai, jo bahut hi barik hone ki wajah se hume dikhai nahi deti. inhi radio active wave's ki wajah se hi hum ek jagah se dusri jagah par badi hi aasani se baat kar pate hai. badalti generation ke sath sath mobile ke features bhi upgrade hota ja rahe hai or iske sath sath mobile ka use bhi badhta hi jaa raha hai.
HOW TO USE CELL PHONE FOR HEALTH ?
स्वास्थ्य के लिए मोबाइल का उपयोग कैसे करे ?
Hum mante hai ki cell phone ne hamari life me apni badi hi khaas jagah bana rakhi hai mgar iska yah matlab nahi hai ki mobile ya cell phone ke bina hum jee nahi sakte. mai apko cell phone ko chhodne ke liye nahi bol raha hun, mai to bs apko cell phone use karne ke tips apko de raha hun jis-se aap kafi had tak cell phone ka sahi use kar sakte hai..
SO please read carefully and follow all step's .....
- Aap ko lgta hoga ki, jab apka cell phone use me nahi hota hai, aise hi pada hota hai ya aap is-se phone nahi kar rahe hote hai to ye kaam nahi kar raha hai. aisa bilkul bhi nahi hai, aap galat sochte hai kyonki apka cell phone every 30-40 second me ek baar ek radio wave bhejta hai hava me, antena ki taraf.
"So constantly your mobile phone is working, it is beeming radio wave's."
- Either apke cell phone ya cell phone antena ke pass ya karib rahne se over long term apki health par bura asar pad sakta hai. aap is exposure ko reduce kar sakte hai, so please adopt this.
JUST A FEW DO'S AND DON'TS FOR SIMPLE LIFESTYLE CHANGES
- Kya apko aadat hai apna cell phone on rakh kar apne sarhane rakh kar so jane ki. ye bilkul hi galat aadat hai ise abhi tod dijiye, kyonki jab aap sote hai to apka cell phone apke brain or body par galat asar dalta hai kyonki apka cell phone all time radio wave's bhejta rahta hai. aise me aap apna cell phone, apne aap se dur rakhiye, agar aapke pass rat ko yah option available nahi hai to aap ise band karke so sakte hai hai.
- Aap apne cell phone ko charjing par bhi dur rakhiye.
- Agar apko apne mobile me alarm laga kar sona hai to aap apne phone ka airplane mode par rakhiye. and after that its ok to have it by your site.
- Kya apko aadat hai apna cell phone apne dil ke karib ya apni pocket me rakh kar pura din ghumne ki, ye bhi bahut galat aadat hai, ise please apne sharir par lagakar mat ghumiye. "you can put it a bag" ya jab aap kaam kar rahe hai to aap apna cell phone thodi si duri par kisi table par rakh dijiye.
"Please do not move around the whole day with your phoen in your pocket."
- Blackbery, manual or i phone manual me bhi likha hai ki cell phone or body ke bich antar jarur banaye rakhe.
- Hum jo ye phone chipka kar apne kaan se lambi lambi bate karte hai ye bhi galat hi hai. cell phone company's khud apko bata rahi hai ki " keep a distance of 15 millimeter" ke distance par apna phone rakhiye.
- Aksar hum phone calls apni gaadi se karte hai ke chalo hum baithe hai to ye time hum use kar le or cell phone se phone karte rahte hai ye bhi galat baat hai, kyonki jab aap gadi, train ya alivater me hote hai to tab aap ek room ki tarah hi cover ho jate hai jo ki ek microwave ki tarah hi kaam karta hai. tab apka cell phone jo radio waves bhejta hai wo us oven se takrakar wapas apke pass hi aati rahti hai.
- Kya apko mahsus hota hai ki jab aap phone par lambi baat karte hai to apka cell phone ya kaan garam ho jata hai iska ye matlab hai ki ye jo radio waves apke phone se jaa rahi hai. ye jo apka kaan ka aria hai ye usko heat kar rahi hai. or takrakar wapas aa rahi hai. "Its like a microwave effect" so please apne cell phone se jyada lambi baate na kjare.
- Agar apko apne cell phone se lambi bate karni hi hai to aap wired handset ka use kar sakte hai. taki apka phone apse thoda dur rahe or aap easly lambi bate kar sake.( only wired headset not bluetuth )
- Agar apke pass land line ki facility available hai to yah sabse best option hai. aise me aap apne phone ko na hi use kare or sabse best hai ki aap landline se hi call kare
- Agar aap ke paas landline ki choice nahi hai to aap apne cell phone se text massege ke through baat kar sakte hai.
- Apna cell phone bachhon ko naa den. khelne ke liye bhi nhi. bachho ki head bones bahut hi patli or najuk hoti hai. ye jo radio waves hai jo cell phone ke liye use hoti hai
" Radio wav's are the travel through your child brain"
- Yah apke bachhe ko nuksan pahunchati hai.so bachho ko cell phone ka pyar dene se achha hai aap unko sorry bol de ya fir ek thappad laga den.
- Jab apke cell phone par signal weak ho tab phone ka use na kare, kyonki us time apka cell phone bahut jyada radiate kar raha hota hai. us time apke phone se nikalne wali radio waves fastly antena ko dhund rahi hoti hai.so aise time par jab apke phone ka signal low hai to uska use bilkul bhi na kare.
- Kharab mausam hone par agar aap ghar se bahar hai to mobile ka use na hi kare,
SUGGESTION : Aap apne cell phone ka jitna kam use karenge apke liye utna hi achha hai, kyonki jin radio wave;s par apka mobile kaam karta hai wo apke liye bohot hi khatarnak hoti hai.
NOTE : Ye the hamari taraf se cell phone use karne ke liye kuch recommendation tips. I hope apko hamari " How to use cell phone for health" blog post pasand aayi hogi. iske baare me agar apka koi sawal ya sujhav hai to please hume comment jarura kare. apka feed back jankar haume khushi hogi.
REQUEST : Agar apke pass koi article ya vichar hai jis-se logo ki help ho sakti hai to please hame jarur bhejiye. pasand aane par hum use apke naam or photo ke sath publish jarur karenge.
NECESSARY THING : Hamari " How To Use Cell Phone For Health / स्वास्थ्य के लिए मोबाइल का उपयोग कैसे करे" Blog Post ko share jarur kare taki kisi helpless ki help ho sake.
THANK YOU FOR VISIT HERE ...!!
No comments:
Write commentsPlease Ask Your Question.