लत लगने की समस्या को कैसे दूर करें
"एडिक्शन यानि की लत " से जुड़े कुछ ऐसे सवाल, जिसके बारे में आज आप सब कुछ जानने वाले है ......- लत क्या है ?
- लत के लक्षण क्या होते हैं ?
- लत किस चीज की लग सकती है, लत के विषय ?
- लत की समस्या से कैसे बचें ?
- लत लगना कितना सही, कितना गलत ?
- कहीं आप भी तो लत की समस्या की शिकार नहीं .... !?
यदि ऊपर दिए गए किसी भी प्रश्न के लिए आपका उत्तर हाँ है, जिसके बारे में आप जानना चाहते हैं तो, यह आर्टिकल "How to Avoid Addiction problem " आपके लिए ही लिखा गया है, आज इस आर्टिकल के दुआरा आप "लत लगने की समस्या को कैसे दूर करें " से जुडी सभी महत्वपूर्ण बातों को जन पायेंगें. आज हम आपसे शेयर करने वाले है की लत की समस्या को कैसे दूर करने के कुछ टिप्स.
तो कृपया ध्यान से पढ़ें और अपने जीवन में सभी चरणों का पालन करें, और अपने जीवन के अनमोल पलों का आनद लें .....
Namaskar Dosto, Mera naam hai sonu singh chhuriya or swagat hai apka "THE SONU SINGH" Blog Site me, or aaj aap padh rahe hai "how to avoid addiction" blog post.
DOSTO, Jaisa ki hum jante hai ki addiction kisi bhi chij ki ho sakti hai or kisi ko bhi ho sakti hai lekin addiction kisi bhi chij ki buri hoti hai chahe wo Sigrate ki ho, padhne ki ho, cell phone use karne ki ho, kisi se baat karne ki ho, ya koi kaam karne ki ho. apko pata hona chahiye ki isi addiction ke chakkar me hamare bohot saare kaam uncomplete rah jaate hai jinki wajah se hume future me bhari nuksaan tak jhelna padhta hai. ye baat jankar shayad apko bura bhi laga ho.lekin ye bilkul sach hai.
Agar aap kisi bhi topic me had se jyada interest loge to apko uska gyaan to mil jayega lekin aap usme kabhi success nahi ho sakte. aisa isliye hai kyunki aap us topic me se kabhi bahar hi nahi nikalana chahte ho. aap jab bhi kisi kaam ko karte hai to wo chij automatically apko apni taraf atractiv karti hai jisse apka man kahi or lagta hi nahi hai.
Please Read Carefully and Follow all Step's ....
What is Addiction ?/ लत क्या है ?
SABSE Phale ye jaan lete hai ki Addiction kya hai ?- Addiction kisi bhi chij ki ho sakti hai or kisi ko bhi ho sakti hai. like : Smoking, Social Media, Maturbation, Video Game's and many more.
- yah bimari na age dekhti hai or naa hi gender bs jisko lag jati hai usko apna shikar bana leti addiction ek aisi bimari hai jo bina bataye ya bina mahsus kiye apko lag jaati hai.
- Apko pata bhi nahi hota hai ki aap is bimari ka shikar ho chuke hai. or aap dhire dhire isme or dhanste chale jaate hai. addiction wo bimari hai jo apko mentaly bahut bimar kar deti hai or all time apko apni taraf khinchti hai.
- Kisi bhi kaam ko had se jyada karna ya us kaam ki taraf attraction ka badh jana hi addiction hota hai.
What is The Symptoms of Addiction ? लत के लक्षण क्या हैं ?
- Kisi ek topic me jyada interst lena ya all time usi topic ke baare me sochna.
- Bina wajah free time me us topic par baate karna.
- Had se jyada us chij ko use karna.
- Har jagah use apne sath rakhna, ya uske bare me sochna.
- Us ke bina kisi or chij me man nahi lagna.
- Without any aim usme lage rahna.
- All time mind me stress hona.
Topic Of Addiction / लत के विषय
Addict hone ke bahut saare topic hote hai or mostly people alag alag type's ke addiction ke shikar hai.
jinme bohot sare topic ye bhi hai.....
FACEBOOK
- Facebook yun to puri duniya ko jodne ka kaam karti hai magar iske jitne fayde hai utne nuksaan bhi hai. yahan par log pure din apni selfie upload karte rahte hai. aaj maine ye kiya, restaurent me khate hue, or mall me ghumte hue. ye sab sirf apna status show karne tak to thik hai magar jab aapko iski lat lag jati hai to ye apke liye ghatak sabit ho sakta hai aap pura din isi me lage rahte hai.
- Aise me agar aap koi photo upload karte hai to apko yahi lagta rahta hai ki kis kis ne comment kiya, kis ne kya comment kiya hai, kisi ne galat comment to nahi kiya hai.
- Ye sab facebook addiction ke hi lakshan hai.
WHAT'S APP
- Badalti generation ke sath sath technology ke features bhi upgrade hote jaa rahe hai isi line me what'saap bhi ek aisa hi feature hai jo logo ko group's ke jariye aapas me jodta hai lekin logo ko jab iski addiction ho jati hai to wo pura din isme photo, video or masseges send or recirve karne me nikal dete hai. logo se judna achhi bat hai lekin pure din isme lage rahna galat baat hai.
SMOKING AND DRINKING
- Smoking and drinking ka addict hona bahut hi galat baat hai, agar aap drink karte hai to yah janan jaruri hai ki aap kitni boundation apne upar aplly karte hai, kyonki ise docter's bhi prefer karte hai. wo kahte hai ki agar aap drink karte hai to kariye, isme koi pareshani nahi, lekin ek limit ke according. limit se extra karne par yah apki body ko nuksaan pahunchati hai. drink karne se apka mind apke control me nahi rahta hai jise kuch log enjoyment ka naam bhi dete hai. jiske baad yah enjoyment ki aadat badhti jati hai jo addiction ke andar aata hai. jisse aap smoking or drink karne ke addiction ke shikar ho jate hai.
NOTE : Aur bhi bahut sare topic hai addict hone ke, sabhi ke baare me mai openly kisi dusri post me bataunga. like : Mobile, Tobacco, Internet, Drug's, Social Media, Game's, Masturbate, Junk Food and many more....
"SOLUTION" of How To Avoid Addiction
लत से कैसे बचें का "समाधान"
- DOSTO, Humne aksar dekha hai ki bahut se log yah manane ko ready hi nahi hote ki wo apni aadaton ki wajah se addict ban chuke hai.
- Addict hone ki problem ko aap khud hi realise kar sakte hai, agar aap ka man kisi bhi chij ko jyada karne ko karta hai to aap addict ho chuke hai.
- Jo log Addiction ka shikar ho jate hai wo apne addict ko chodna to chahte hai, lekin chodne ki kabhi shuruat ya koshish nahi karte ya koshish karte bhi hai to bs kuch time ke liye. khud ko show off karne ke liye ki aaj se main apni is addiction ki aadat ko chod dunga.
- Mostly people kya karte hai ki aaj pee lu bs, aaj ke baad chod dunga,
- Exam ke baad chod dunga,
- Kal se to pakka chod dunga,
Ab sawal ye aata hai ki aap aisa kya kare ki aap par addicti hone ka tag na lage, ya aap is buri lat ko chhod den.
- Agar aap ye soch rahe hai ki mai apko koi jadibuti bataunga or aap use kha kar addiction se chutkara paa lenge to aap bilkul galat hai. Addiction ko chodne ke liye kisi ke pass na to koi jadu hai or na hi koi trick. ye sab aap par hi depand karta hai ki aap kya chahte hai, aap apni life ko kis or le jana chahte hai.
- Bahut se logo ka kahna hai ki "humne bohot koshish ki lekin addiction ki aadat chhut-ti hi nahi hai"
Iska jawab apke sawal ke andar hi persent hai, bas apko jarurat hai to ise search karne ki.
Jara sochiye..... !! Apne kahan se addiction ko chhodne ki shuruat ki or kahan par khatam kar di. aisa kya hua ki aap ise continue nahi kar paaye. kya or kahan kami rah gyi apke effort me.
Agar aap apne effort me success nahi hue to koi baat nahi, ghabraiye nahi, Aaj apko mai batata hun ki aap kya kare addiction se freedom paane ke liye...
- Apna koi aisa Aim ya target banaye, jise aap pana chahte hai. jiske liye aap despirate hai.
- Bhale hi thode time ke liye lekin jis life ko aap jine ka baare me sochte hai us dream ko kahin note kare. or koshish kare use pura karne ki.
- Apne aap ko kisi bhi aise work me busy kare jo apke future ko bright kar sakta hai.
- Apne 24 hours ko work ke according bant le, or usme busy rahe.
- Apne apko kabhi akela na mahsus kare.
- Apne Promise's ki ek list banaye or use apne mirror ke paas paste kar de. taki aap jab bhi mirror ka samna kare to apko apne promoce's yaad rahe. or rojana apke din ki shuruat achhi ho sake.
NOTE : Ye hai meri taraf se addiction ko avoid karne ke liye kuch recommendation tips. I hope apko hamari "how to avoid addiction" post pasand aayi hogi, iske baare me agar apka koi sawal ya sujhav hai to please comment karna nahi bhuliyega.
REQUEST : Agar apke pass koi aisa article ya vichar hai jis-se logo ki help ho sakti hai to please hame jarur bhejiye. pasand aane par hum use apke naam or photo ke sath jarur publish karenge.
NECESSARY THING : Hamari "How to Avoid Addiction" post ko share jarur kare taki kisi helpless ki help ho sake.
THANK YOU FOR VISIT HERE !!
No comments:
Write commentsPlease Ask Your Question.